Buri Nazar Se Bachne Ki Dua

✦…..Shaitan aur Nazar-E-bad se Bachne ki Dua…..✦

*** Bismillah Hirr Rahman Nirr Rahim…***
.
.
.
Hazrat Ibn Abbas R.A se Rivayat Hai k
.
RasoollAllahﷺNe Hazrat Hasan o Husain R.A k liye Panaah Talab kiya karte The 

.
Aur
.
Farmate The K Tumhare Buzurg Dada (Ibrahim Alaihi salam) Bhi In kalimat k Zariye Allah ki Panaah
Ismaeel aur Ishaq (Alaihi salam) k Liye Manga Karte The.
.
.
.
( A’oodhu bikalimatIllahi-tammati min kulli shaytaanin wa hammatin wamin kulli ‘aynin lammatin. )
¤
(Main Panaah maangta hun Allah k pure pure kalimat k zariye,
Har aik shaitan se aur har zahreele janwar se aur har nuqsan pohnchane wali nazar-e-bad se).
.
[ Sahih Bukhari :: 3371]

.

 Mafum-e-Hadees: Ibn Abbas (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Allah Se Hussain Wa Hasan (Razi’Allahu Anhu) Ke Liye Panaah Talab Kiya Kartey They Aur Farmatey They Ki –
“Tumharey Buzurg Dada Ibrahim (Alaihay Salam) Bhi Ismaeel Aur Ishaq (Alaihi Salam) Ke Liye Inhi Kalamat Ke Jariye Allah Ki Panaah Maanga Kartey They.”
• DuaA’oodhu Bikalimatillahi-Tammatti Min Kulli Shaytaanin Wa Hammatin Wamin Kulli ‘Aynin Lammatin

(Tarjuma: Main Panaah Maangta Hun Allah Ki Purey Purey Kalamat Ke Jariye, Har Shaitan Se Aur Har Zahreele Janwar Se Aur Har Nuqsaan Pahunchaney Waali Nazar-e-Bad Se.)

 

Leave a comment